affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Wo shab zada si ajeeb larki

Wednesday 20 March 2013

Wo shab zada si ajeeb larki

Wo shab zada si ajeeb larki,
wo shab k gehray libaas main thi,
tamam lamhon k sab rawaiyon ko janti hai ,
wo sochti tou bohat saliqe sy sari uljhan sulajh sy jaty,
wo meray mathay py apni ungli sy mout likhti,
main mar sa jata,
wo meray mathay py apni ungliyon sy zindagi ko khurachnay lagti,
main jee sa jata,
wo baat karti tou us kay onchay lafz,
titliyon ki tarha urhnay lagtay,
main titliyon ko pakarnay lagta,
wo apnay andar hazar mousam,hazar rang,
hazar khushboo liye hoe hai,
magar bazahir wo apnay lehjay ko,
apnay chehray,apni aankhon ko ,
apnay hathon ko aam logon ki tarha rakhti,
wo shab zada si ajeeb larki.....
wo jab shararat main mujh sy koi mazak karti,
main apnay andar khubsoorat sa honay lagta,
wo apni chotti si umer main bhi ,
bohat saliqe se jee rahi hai,
bari tasali sy jee rahi hai,
kabhi wo baaton ko khud barhati,
kabhi wo baaton ko khud ghatati,
kabhi wo chehra daraz kar k ,
mujhe ye kehti,
perho na mujh ko ,
ajeeb larki!
kabhi tou itni ajeeb hoti,
zara si baaton py rooth jati,
kabhi mujh ko wo apnay daraz fehrist sy kaat daiti,
kabhi wo mujh py nisar ho kar barasnay lagti ,
barasti rehti....
meri judai main nakhunon ko kutarnay lagti ,
kutarti rehti...
ye sari baataen baja hain lakin,
wo sab zada si ajeeb larki..
kabhi jo darti tou itna darti,
k apnay saay sy bhi dar k girti,
phir us k aankhon sy girtay aansoo,
usay ye kehtay k doob jao,
wo doob jati...
phir apni aadat py hansnay lagti,
ajeeb larki...
najanay abh wo kahan py hogi,
WO SHAB ZADA SI AJEEB LARKI......!!!!!!

No comments:

Post a Comment