Woh Milney K Ahed o Paimaan
Sb Jhootey Nikley Aye Janan
Na Tum Aain, Na Piyar Kiya
Na Chahat Ka Izharr Kiya
Na Ruthey Dil Ko Shaad Kiya
Na Sapnon Ko Aabad Kiya
Ekk Pall Bhi Mujhey Naa Yaad Kiya
Kiya Khoob Mujhey Barbaad Kiya
Ekk Ahed e Muhabbat Tod Diya
Rahon Mein Mujhey Kion Chhod Diya
In Tootey Huey Armanon Ko
Unn Chaht K Afsanon Ko
Sb Bhool K Mujh Se Kehti Ho
Ekk Nazm Koi Mujh Prr Likh Do
Kiya Likhon, Kiya Naa Likhon
Kiya Hijar Ka Afsana Likhon
Ashkon Ki Kahani Likh Doon Kiya
Wehshat Ki Zabani Likh Doon Kiya
Harr Baat Purrani Likh Doon Kiya
Yaa Aag Ko Pani Likh Doon Kiya
Ho Zikar Tumhari Ulfat Ka
Ya Sirf Fasana Wehshat Ka
Kiya Naam e Wafa Ki Baat Kahon
Ya Jor O Jafa Ki Baat Kahon
Tum Ko Mahboob Likhon Ya Phir
Tum Ko He Aduo Keh DOon Aakhir
Likhon K Wafa Tum Sey Na Hui
Yaa Koi Khata Tum Sey Na Hui
Kuch Baat Muhabbat Ki Likh Doon
Keh Do To Haqeeqat He Likh Doon
Likh Doon K Rulaiya Hai Tum Ne
Haan, Kitna Sataya Hai Tum Ne
Furqat Mein Jalaiya Hai Tum Ne
Deewana Banaya Hai TUm Ne
Likh Doon Janon Ka Zaher Piya
Parr Tum Ko Kabhi Ruswa Na Kiya
Jo Zakham Milla, Seeney Pe Saha
Parr Haal e Janon Phirr B Na Kaha
Tum Se Na Shikayat Ki Mein Ne
Bay Laous Muhabbat Ki Mein Ne
Kis Dhang Se Ulfat Ki TUm Ne
Kis Rangg Se Chahat Ki Tum Ne
Ghairon Pe Enayat Ki Tum Ne
Apnon Se Adawat Ki Tum Ne
Haan, Nazar e Enayat Ki Tum Ne
Parr Baher Zaroorat Ki Tum Ne
Iss Nazam Ka Unwan Koi Nahin
Abb Dard Ka Darmaan Koi Nahin
Abb Chak Gireban Koi Nahin
Abb Hijr Se Nalan Koi Nahin
Sunn Pao To Haal e Dill Keh Doon
Ab Nazam Kaho..?
Yaa Rehne Doon...?
No comments:
Post a Comment