affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Saath ChhOot jAtey hAin

Saturday 27 April 2013

Saath ChhOot jAtey hAin

Barha Yeh Dekha hAi
Sirf Sun Nahe Rakha
Khud Bhe Aazmaya hAi
TajrabOn Sey Sabit hAi
Jo bhe Parhtey Aaye hAin
Us Ko Theak Paya hAi


Is Trah Kii BatOun Sey
ManzilOn Sey Pehley Hii
Saath ChhOot jAtey hAin
lOg rOoth jAtey hAin


Yeh tUmein Bata dOn Main
ChahatOun Key RiShtey Mein
Phir Girah Nahe Lagtii


Lag Bhe jAye To Us Mein
Wo KaShish Nhe Rehtii
Aik Pheeka Pheeka Sa
Raabta To hOta hAi
Taazgi Nahe Rehtii
ROoh Key Ta'aluq Mein
Zindgii Nahe Rehtii
Baat Wo Nahe Bantii


Laakh Bar Mil Kar Bhe
Dil Kabhe Nahe Miltey
Zehan Key JharokOn Mein
Yaad Key DareechOn Mein
TitliyOun Key RangOun Key
PhOol Phir Nahe Khiltey


Is Leye Main Kehta hOn
Is Trah Ki BatOun Mein
Ehtiyat Kartey hAin
Is Trah Ki BatOun Sey
Ijtanaab Kartey hAin

No comments:

Post a Comment