affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Suno jana'n...

Friday 26 April 2013

Suno jana'n...

 Suno jana'n...
Bicharrny ka samay ab aan pohncha hy...
Tum apni aankh men umdy hoay in aasuo'n ko ponch daalo...
Aur zara sa muskra kar alwida keh do...
K dasht-e-na'muradi men
tumhari muskrahat
zaad-e-rah hogi...
Sulagty roz-o-shab men
yeh ghani chaao'n...
Hawa aur chandni ban kar
naveed-e-zindagi dy gi...
Main tum ko yaad rakhu'n ga...
Kabhi na bhool paoun ga...
Magr meri yeh khwahish hy...
K tum mujh ko bhula dena...
Bicharrny ki aziyat ko tum apny dil py mat lena...
Samajh lena...
Yehi apna muqadar hy..

No comments:

Post a Comment