affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Loog Mujh Se Pochtey Hein

Saturday, 27 April 2013

Loog Mujh Se Pochtey Hein

Me Shaair Hoon To Akser Loog Mujh Se Pochtey Hein
Is Haseen Israar K Baare
Bataain To Bhala Kia Hai?
Muhabat Aakhrish Hai Kia?
Wasi Me Hans K Kehta Hoon
Kisi Pyase Ko Apne Hissey Ka Paani Pilana Bhe
Muhabat Hai
Bhanwar Me Doobte Ko Saahiloon Tak Le K Jana Bhe
Muhabat Hai
Kisi K Waaste Nanhi Si Qurbani Muhabat Hai
Kaheen Hum Raaz Saare Khool Saktey Hoon Mager Phir Bhe
Kisi Ki Bebasi Ko Dekh Ker Khaamosh Reh Jana
Muhabat Hai
Ho Dil Me Dard, Weraani Mager Phir Bhe
Kisi K Waaste Jabran He Hoonto Per Hansi Laana
Zaberdasti He Muskana
Muhabat Hai
Kaheen Barish Me Seh'me, Bheegte Billi K Bachey Ko
Zara Si Deir Ko Ghar Ley K Aana Bhe
Muhabat Hai
Koi Chirya Jo Kamre Me Bhatakti Aan Nikli Ho
To Us Chirya Ko
Pankhey Band Ker K Raasta Bahir Ka Dikhlana
Muhabat Hai
Kisi K Zakhm Sehlana
Kisi Rotey Huwe Ke Dil Ko Behlana
Muhabat Hai
K Meetha Bool , Meethi Baat, Meethey Lafz, Sab Kia Hain?
Muhabbat Hai
Muhabat Aik He Bas Aik He Insaan Ki Khatir
Magan Rehna
Hama Waqt Us Ki Batoon, Khushbowoon Me Dolna Kab Hai
Muhabat Us Ki Zulf K Bul Kholna Kab Hai
Muhabat K Hazaaron Rang
Laakhon Ista'aarey Hein
Kisi Bhe Rang Me Ho Yeh
Mujhey Apna Banati Hai
Yeh Mere Dil Ko Bhaati Hai

No comments:

Post a Comment