affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Hawa Thami Thi Zaroor Lekin

Thursday 28 November 2013

Hawa Thami Thi Zaroor Lekin

Hawa Thami Thi Zaroor Lekin,
Wo Shaam Jesy Sisak Rahi Thi
K Zard Patton Ko Aandhiyun Ne Ajeeb Qissa Suna Dia Tha
K Jis Ko Sun Kar Tamam Pattay
Sisak Rahe Thy
Bilak Rahe Thy
Janae Kis Sanyhey K Ghum Main
Shajar Jaron Se Utar Chuke Thy
Bohat Talasha Tha Hum Ne Tumko
Har Aik Rasta, Har Aik Waadi
Har Aik Parbat, Har Aik Ghaati
Kahin Se Teri Khabar Na Ayi
To Ye Keh K Hum Ne Dil Ko Tala
Hawa Thame Gi To Daikh Lain Gy
Hum Us K Raston Ko Dhoond Lain Gy
Magar Hamari Ye Khush Khayali
Jo Hum Ko Barbaad Kar Gaye Thi
Hawa Thami Thi Zaroor Lekin
Bari Hi Mud'dat Guzar Chuki Thi
Hamare Balon K Jungalon Main
Safaid Chandi Utar Chuki Thi
Falak Pe Taray Nahi Rahy Thy
Gulaab Pyare Nahi Rahy Thy
Wo Jin Se Basti Thi Dil Ki Basti
Wo Loog Saare Nahi Rahe Thy
Ye Almiya Sab Se Baalatar Thy
K Hum Tumhare Nahi Rahe Thy
K Tum Hamare Nahi Rahy thy
Hawa Thami Thi Zaroor Lekin
Bari Hi Mud'dat Guzar Chuki Thi

No comments:

Post a Comment