affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Kaheen ik masoom nazuk si ladki

Wednesday 27 November 2013

Kaheen ik masoom nazuk si ladki

Kaheen ik masoom nazuk si ladki..
Bohat khobsoort mager sanwali si..
Mujhay apnay khwabon ki banhoon main paa ker..
Kabhi neend main muskurati tu ho gi..
Usi neend main karwaten badel ker..
Serhanay se takiyay girati tu ho gi..
Wohi khawab din ki khamoshi main aa ker..
Usay man he man main lubhatay tu hon gay..
Kaii saaz seenay ki khamoshion main..
Meri yaad se jhun jhanatay tu hon gay..
Woh besakhta dheemay dheemay suron main..
Meri dhun main kuch gun gunati tu ho gi..
Mujhay khat likhnay wo bathi tu hogi..
Mager ungliyan kapkapati tu hon gi..
Qalam haath se choot jata tu ho ga..
Mager qalam phir say uthati tu ho gi..
Mera naam apni kitabon per likh ker..
Woh Danton main ungli dabati tu ho gi..
Zuban se kabhi uff nikkalti tu ho gi..
Badan dheemay dheemay sulagta tu ho ga..
Kahiin k kahiin pauoon pertay tu hon gay..
Zameen pe dupata larakta tu ho ga..
Kabhi subah ko shaam kehti tu ho gi..
Kabhi raat ko din banati tu ho gi..
Kahheen ik masoom.. nazuk si ladki..
Bohat khoobsorat mager sanwali si..

No comments:

Post a Comment