affiliate marketing Famous Urdu Poetry: wo samajh sake to aansu na samajh sake to pani

Monday 25 November 2013

wo samajh sake to aansu na samajh sake to pani

Ye inayaten gazab ke ye bala ke meharabani
meri khairiyat bhi puchi kisi aur ke zubani

mera gham rula chuka hai tujhe bikhari zulf wale
ye ghata bata rahi hai ki baras chuka hai pani

tera husn so raha tha meri ched ne jagaya
wo nigah main ne dali ki sanvar gai javani

meri bezuban aankhon se gire hain chand qatre
wo samajh sake to aansu na samajh sake to pani

No comments:

Post a Comment