affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus !

Monday 18 February 2013

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus !

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus ! 

Dil ne jhailay hain mohabbat mein wo azaar k bus ! 

Ek lamhay mein zamanay mere hathon se gaye ! 

Es qadar taiz hui waqt ki raftaar k bus ! 

Tu kabhi rakh k humein dekh to bazaar k beech ! 

Es tarha toot k aaein gay kharidaar k bus ! 

Kal bhi sadiyon ki musaafat pe kharray they donon ! 

Darmiyaan aaj bhi parti hai wo deewar k bus ! 

Ye to ek zid hai k Mohsin main shikayat na kerun ! 

Warna shikway to hain etnay mere yaar k bus !

No comments:

Post a Comment