affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Raz Ko Raz Rehny Do

Sunday 24 February 2013

Raz Ko Raz Rehny Do

[IMG]
Tum akssar pocha karti ho na,
Main keyon itna chup rehta hoon?
Meri ankhoun say her pal,
Keyon karb jhalakta rehta hai?
Meri in sir-e-shaam udasiyon ka sabab keya hai?
Meri gum-shuda muskrahat ka hal hai koi?
Main ye sab sunta hoon to ...
Tumhara naam jawab ban kr,
Meray honton pe machalnay lagta hai
Magar ada ho nhi pata
Janay keyon mujko yon lagta hai
Tumhara naam to meri rooh hai
Aur jis dam ye meray hontoun say azad howa,
Main andar say khali ho jaoun ga!

No comments:

Post a Comment