affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Ajab pagal si larki hai

Sunday 24 February 2013

Ajab pagal si larki hai

Ajab pagal si larki hai
Mujhy har khat main likhti hai
Mujhy tum yaad karty ho?
Tumhain main yaad aati hon?
Meri yaadain stati hain?
Meri needain jagati hain?
Meri ankhain roolati hain?
Dec ki sunehri dhoop me ab bhi tehlty ho?
Kisi khamosh rasty sy koi awaz aati hai?
Thetarti sard raaton me ab bhi chaht py jaty ho?
Falak k sab sitaron ko meri baatain sunaty ho?
Kitabon sy tumhary ishq me, koi kami aai?
Yaan meri yaad ki shidat sy ankhon me nami aai?

Ajab pagal si larki hai…!

Jawaban usko likhta hon meri masroofiat dakho..!
Subh sy sham office mein chairagh-e-umr jalta hai…!
Phir us k bad dunia ki kaein majborian paaon me berian dal rakhti hai…!
Mujhy be-fiqr chahat sy bhary sapny nahi dikhty…!
Thakny, jaagny, roony ki mohlat hi nahi milti…!
Sitaron sy mily arsa howa, naraz hon shaied…!
Kitabon sy sharf mera abhi waisy hi qaim hai…!
Farq itna para hai ab, unhy arsy mein parta hon..!

Tumhain kis ny kaha pagli tumhain main yaad karta hon…?

K main khud ko bholane ki musalsal justaju me hon…!
Tumhain na yaad krny ki musalsal justaju me hon…!
Mgr yeh justaju meri both nakam rehti hai…!
Mery lafzon ki har mala tumhary hi naam rehti hai…!
Tumhain kis ny kaha pagli tumhain main yaad karta hon..?
Purani baat hai, jo log aksar gungunaty hain…!
Unhain hum yaad karty hain, jinhy hum bhool jaty hain..!

Ajab Pagal si larki hai..!

Tumhain dil sy bhoolaon tu, tumhari yaad aye na…!
Tumhain dil sy bholany ki mujy fursat nahi milti…!
Aur is masroof jewan mein tumhary khat ka ek jumla..!
Tumhain main yaad aati hon..?
Meri chahat ki shidat me, kami any nahi deta…!
Bohat raatain jaagata hai, Mujhy soony nahi deta…!
So agli bar khat me, yeh jumla nahi likhna…!

Ajab pagal si larki hai, mujhy phir bhi yeh likhti hai…!
Mujhy tum yaad karty ho…?
Tumhain main yaad aati hon…?

3 comments: