affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Tumhara Khat mila jana

Wednesday 27 February 2013

Tumhara Khat mila jana

Tumhara Khat mila jana,
wo jis main tum ne poocha hai,
k ab halat kaisay hain,
meray din rat kaisay hain,
meherbani tumhari hai,
k tum ne is tarah mujh se,
meray halat poocha hain,
meray din rat poochain hain,
tumhain sub kuch bata doun ga,
mujhe itna bata do k,
kabhie sagar kinaaray per,
kisi machli ko dekha hai,
k jis ko lehrain pani ki,
kinaray tak to lati hain,
magar phir chor jati hain,
meray halat aisay hain,
meray din rat aisay hain.

No comments:

Post a Comment