affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Koi puchhe mere baare mein tou yu.n kehnaaa.....

Monday 25 February 2013

Koi puchhe mere baare mein tou yu.n kehnaaa.....

Koi puchhe mere baare mein tou yu.n kehnaaa.....

    Masiiha tha ik Shaidaa_ii sa tha..
    Bhari bazm mein aalam-e-tanhaayi sa tha...
    Na wasl tha usko na firaaq uskaa,
    Ajeeb dilkash tha mijaaz uskaa...

    Aankho.n mein aansuo.n se tasviire.n banata tha...
    Lafzo.n se kaaghzo.n ki taqdiire.n banata tha...
    Kabhi aanchal, kabhi kaajal to kabhi rang-e-hiina,
    Yu.n husn-e-jaana par Tehriire.n banata tha...

    Dasht-e-khwab ka baashinda,
    Khayaalo.n ka rahnumaa tha wo...
    Meri chaahato.n ka rahbar,
    Meri hasrato.n ka Ameen tha wo...
    Dam-e-iisa thi uski nazme.n,
    Kalam me masihaa_ii rakhtaa tha...
    Use dekhne waale na bhule rastaa fir kabhi,
    Yu.n aankho.n me rahnumaa_ii rakhtaa tha...

    Koi puchhe mere baare main to yu.n kehnaaa.....

    Jo bhi mujh main tum dekhte ho,
    Sab mujh main Aqss hai usi ka...
    Ye baate.n meri sher jaisi,
    Ye lehjaa mera saadgi ka......

    Wo raato.n ki syaahi sa gum naam shayar,
    Ret par khayaalo.n ki lakiire.n banata tha...
    Apni ummer ki sarhad se kahii.n gehraa,
    Lafzo.n se Nazmo.n ki zanjiire.n banata tha...

    Koi puchhe mere baare main tou yu.n kahnaaa.......!!

No comments:

Post a Comment