affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Badban khulne se pahle ka ishara dekhna

Saturday 23 February 2013

Badban khulne se pahle ka ishara dekhna

Badban khulne se pahle ka ishara dekhna
main samandar dekhti hun tum kinara dekhna

yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar
jate jate us ka wo mur k dubara dekhna

kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand
ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna

aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye
jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna

No comments:

Post a Comment