affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Zindagi k mailey men

Sunday 24 February 2013

Zindagi k mailey men


Zindagi k mailey men

khwahishon k railey men

tum sey kaya kahen jaana'n

is qadar jhamailey men

vaqt ki ravani hai

bakht ki garani hai

sakht bezamini hai

sakht la'makani hai

hijr k samandar men

takht aur takhtey ki

ek hi kahani hai

tum ko jo suna'ni hai

baat go zara si hai

bat umr bhar ki hai

umr bhar ki baaten kab

do ghari men hoti hain

dard k samandar men

angint jaziirey hain

be'shumaar moti hain

aankh k dariichey men

tum ney jo sajaya tha

bat us diye ki hai

bat us gilley ki hai

jo lahu ki khilvat men

chor ban k aata hai

lafz ki fasiilon par

tuut tuut jata hai

zindagi sey lambi hai

baat ratjagey ki hai

rastey men kaisey ho

baat takhliye ki hai

takhliye ki baaton men

guftagu izafi hai

pyar karney vaalon ko

ik nigah kafi hai

ho sakay to sun jaao

ek din akailey men

tum sey kaya kahen jaana'an

is qadar jhamailey men

4 comments: