affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Itnay Gehray Thay Meri jaan Rawabat Tum Say

Thursday 28 February 2013

Itnay Gehray Thay Meri jaan Rawabat Tum Say

Itnay Gehray Thay Meri jaan Rawabat Tum Say
Todney Chahay Jo Hum Nay To Ba-Mushkil Tootay
Jo Zamaney Ki Nigaahon Say Chupa Rakhay Thay
Waqt E Aakhir Wo Ta'aluq Sar E Mehfil Tootay
Sar Kiye Ma'arka E Zeest Bari Himmat Say
Daagh Daman Pay Kisi Baat Pey Aaney Na Diya
Tujh Say Izhaar E Muhabbat Bhi Magar Kar Na Sakay
Hoslay Meray Faqat Teray Muqaabil Tootay
Husn Phoolon Ka Hii Banta Hai Tabaahii Ka Sabab
Dosto Khaar E Mugheelan Nahin Nochay Jatay
Aap Tareekh E Gulistaan Utha Kar Dekhien
Is Mein Bus Shaakh Say Gull Deed Kay Qaabil Tootay
Meray Paikar Main Nazakat Hai Gulon Kii Aakhir
Main Qaid Hoon Aahnii Zanjeer Mein Ik Muddat Say
Azm E Parwaaz Mein Phir Bhi Hai Hararat Itnii
Arsh Chho Loonga Agar Band E Salasil Tootay
Koh E Ghum Teri Muhabbat Ka Gira Hai MUjh Par
Sang-Raizon Mein Badal Jana Mera Wajib Hai
Mit Gaye Hotay Jo Yaklakht To Acha Hota
Yeh Qiyamat Hai K Hum Tootay To Til-til Tootay
Dast BaSta Yeh Husainii Kii Duaa Hai Ya RAAB
Umr Bhr Ashk Bahaney Ko Na Zinda Rakhna
Bhaij daina Tu Meray Naam Pey Paigham E Ajal
Is Say Pehlay K Muhabbat Mein Mera Dil Tootay

No comments:

Post a Comment