affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Suna hoga bohat tum nay

Wednesday 27 February 2013

Suna hoga bohat tum nay

    Suna hoga bohat tum nay
    kahin aankhon ki rim jhim ka
    kahin palkon ki shabnam ka
    parha hoga bohat tum nay
    kahin lahjay ki baarish ka
    kahin sagar k ansu ka
    magar tum nay kabhi ham dam
    kahin dekhay? kahin parhay?
    kisi TAHREER k ansu?
    mujhay teri JUDAAI nay
    yah mairaaj bakhshee hai
    k main jo lafz likhta hun
    wo saray lafz routay hain
    k main jo hurf bunta hun
    wo saaray batain kartay hain
    meray sang is judaai mein
    meray Alfaaz martay hain!


No comments:

Post a Comment