affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Ik Udaas Si Larki...Ghiri Shaam Si Larki

Sunday 24 February 2013

Ik Udaas Si Larki...Ghiri Shaam Si Larki

Mujhay maloom hai keh mein kaya hoon!!


na meri saroo si qaamat


na meri jheel si aankhen


na meri subha si rangat


na meri raat si zulfen


lekin jab kabhi tum apnay kamray men


tanha ho gay


khirki say chaandni chhan chhan kay aa rahi ho gi


aur, raat ki rani ka boota kamray men jhaankta ho ga


to--ik lamhay ko tum meray baaray men socho gay


keh!!ik udaas si larki--ghiri shaam si larki-


jisay teri ik muskyrahat nay


khaak kay zarray say utha kar aasmaan ka taara bana diya


haan wohi ik lamha meri duaaon ka asar ho ga---

No comments:

Post a Comment