affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Kagaz Kagaz Harf Sajaya Karta Tha - Poetry

Thursday 14 February 2013

Kagaz Kagaz Harf Sajaya Karta Tha - Poetry

Kagaz Kagaz Harf Sajaya Karta Tha - Poetry

Kagaz kagaz harf sajaya karta tha.
Tanhai min shehar basaya karta tha.

Kesa pagal shakhs he sari sari rat.
Diwaron ko dard sunaya karta tha.

Ro deta he ap hi apni baton par.
Or phir khud ko aap hansaya karta tha.

Jalne lagti lahu min judai to ro deta.
Tanhaiyon ki khak urhaya karta tha.

Chehre se tera roug chupata to hans deta.
Ankhon min teri yad manaya karta tha.

Yaron kachi umar ka pyar use le duba.
Jo logon ko jeene k atwar sikhaya karta tha.

No comments:

Post a Comment