affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Saja ke sar pe sitaroon ka taaj rakhta hai !

Tuesday 19 February 2013

Saja ke sar pe sitaroon ka taaj rakhta hai !

Saja ke sar pe sitaroon ka taaj rakhta hai !
Zameen pe wo bhi falak ka mizaaj rakhta hai

Sanwrnay walay sada ainay ko dhondhtay hein
Bichar ke wo bhi meri ehtiyaaj rakhta hai

Hum uss ke husn ko taskheer kar ke dekhein ge
Jabeen pe kaun shikan ka khiraaj rakhta hai

Teray bagher yahan kaun zeer-e-saya-e-lab
Jaraht-e-dil-o-jaan ka ilaaj rkhta hai
Khafa sai who , sakhawat sarisht jab bhi milay !
Bharam ana ka , muhabbat ki laaaj rakhta hai

saba khiraam , khizaan perahan , bahar badan
Wo mausamoon ka ajab imtizaaaj rakhta hai

Chura ke aankh se kuch khuwaab rakh liay MOHSIN
Kisaaan jesay bacha kar anaaaj rakhta hai

No comments:

Post a Comment