affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Yeh pichlay ishq ki baatein hein

Monday 18 February 2013

Yeh pichlay ishq ki baatein hein


Yeh pichlay ishq ki baatein hein 


jab aankh mein khwaab damaktay thay 
jab dYeh pichlay ishq ki baatein hein 

jab aankh mein khwaab damaktay thay 
jab dil mein daagh chamaktay thay 
jab palkein sheher ke rastoon main 
ashkon ka noor lutatee thein 
jab saansein ujlay chehron ke 
tan-man mein phool sajati thein 
sochon mein bhanvar par jaatay thay 
jab aik talatum rehta tha

apnay be-ant khayalon mein 
har ehad nibhaanay ki kasmain 
khat khoon se likhnay ki rasmain 
jab aam thein hum dil walon mein 
ab apni ujree ankhoon mein 
jitni roshan si raatein hein 
us umer ki sab soughaatein hein 
jis umer ke khwaab khayaal huye 
woh pichlii umer thi beet gaii 
woh umer beetay saal huye 

ab apni deed ke rastay mein 
kuch rang hai guzray lamhon ka 
kuch ashk ki baraatein hein 
kuch bhoolay bisray chehray hein 
kuch yaadon ki barsaatein hein 

yeh sab pichlay ishq ki baatein heinil mein daagh chamaktay thay 
jab palkein sheher ke rastoon main 
ashkon ka noor lutatee thein 
jab saansein ujlay chehron ke 
tan-man mein phool sajati thein 
sochon mein bhanvar par jaatay thay 
jab aik talatum rehta tha

apnay be-ant khayalon mein 
har ehad nibhaanay ki kasmain 
khat khoon se likhnay ki rasmain 
jab aam thein hum dil walon mein 
ab apni ujree ankhoon mein 
jitni roshan si raatein hein 
us umer ki sab soughaatein hein 
jis umer ke khwaab khayaal huye 
woh pichlii umer thi beet gaii 
woh umer beetay saal huye 

ab apni deed ke rastay mein 
kuch rang hai guzray lamhon ka 
kuch ashk ki baraatein hein 
kuch bhoolay bisray chehray hein 
kuch yaadon ki barsaatein hein 
yeh sab pichlay ishq ki baatein hein

No comments:

Post a Comment