affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Zindagi K Maily Main - Poetry

Thursday 14 February 2013

Zindagi K Maily Main - Poetry

Zindagi K Maily Main - Poetry

zindagii ke mele me.n
Khvaahishon ke rele main
tum se kyaa kahen jaanaa
is qadar jhamele main
vaqt kii ravaanii hai
baKht kii giraanii hai
saKht bezamiinii hai
saKht laamakaanii hai
hijr ke samandar main
taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai
tum ko jo sunaanii hai

baat go zaraa sii hai
baat umr bhar kii hai
umr bhar kii baaten kab
do gharii main hotii hain
dard ke samandar main
anginat jaziiren hain
beshumaar motii hain
aa.Nkh ke dariiche main
tum ne jo sajaayaa thaa
baat us diye kii hai
baat us gile kii hai
jo lahuu kii Khilvat main
chor ban ke aataa hai
lafz ke fasiilon par
TuuT TuuT jaataa hai

zindagii se lambii hai
baat rat_jage kii hai
raaste main kaise ho
baat taKhaliye kii hai
taKhaliye kii baaton main
guftaguu izaafii hai
pyaar karane vaalon ko
ik nigaah kaafii hai
ho sake to sun jaao
ek din akele main
tum se kyaa kahain jaanaaN
is qadar jhamele main

No comments:

Post a Comment