affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Jaise meri nazm ki LaRki...

Monday 11 March 2013

Jaise meri nazm ki LaRki...

Jaise meri nazm ki LaRki...
 
voh chanchal albeli laRki meri nazmeN yuuN paRhti hai
jaise un nazmoN ka mehwar
us kii apni zaat nahiiN hai,
(yaani itni sundar laRki aur koii bhii ho sakti hai!)
jaise us ko ilm nahiiN hai yeh saari baateN us kii haiN
saari ghaateN us kii haiN
har aahaT hai us kii aahaT, sab saaye haiN us ke saaye
saare mehmal us ke haiN
har Khushbu hai us kii Khushbu, sab chehre haiN us k chehre
saare aanchal us ke haiN
jaise us ko ilm nahiiN hai us laRki ke saare kaam
saare naam usii ke haiN
her khiRki hai us kii khiRki, saare baam usii ke haiN
us laRki ke naam se jo kuChh maiN ne apne naam likha hai
us se hi mansuub hua hai
(shaayad mera veham ho lekin maiN ne yeh mehsuus kia hai)
jab maiN nazm sunaata huuN voh aankh churaane lagti hai
mujh se nazareN mil jaayeN to voh sharmaane lagti hai
kuChhh lamhe voh chanchal laRki gum sum sii ho jaati hai
lekin thoRi der meN phir se pathar kii ho jaati hai
jaise meri nazm kii laRki!!

No comments:

Post a Comment