affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Kabhi ishq ho to pata chale

Thursday 21 March 2013

Kabhi ishq ho to pata chale


Bisaat_e_jaan pe azaab utarte hain kis tarah,
Shab-o-roz dil pe utaab utarte hain kis tarah,
Kabhi ishq ho to pata chale,
Ye jo log se chuppe hoye hain pas-e-dostaan,
To ye kon hain?
Ye jo rog se hain chhupe hoye pas_e_jism-o-jaan,
To ye kis liye?
Ye jo kaan hain mere aahaton pe lage hoye,
To ye kyon bhala?
Ye jo hont hain saf_e_dostaan main sile hoye,
To ye kis liye?
Ye jo izteraab racha howa hai wajood main,
To ye kyon bhala?
Ye jo sang sa koi aa gira hai jamood main,
To ye kis liye?
Ye jo dard dil main chhirra howa hai lateef sa,
To ye kab se hai?
Ye jo putliyon main hai aks koi khafeef sa,
So ye kub se hai?
Ye jo aankhon main koi barf si hai jami hoi,
To ye kis liye?
Ye jo doston main nayi nayi si kami hoi,
To ye kyon bhala?
Ye jo log peeche parre hoye hain fazool main,
Unhen kia pata unhen kia khabar?
Kisi raah k kisi morr per jo unhen zara,
Kabhi ishq ho to pata chale,
Kabhi ishq ho to pata chale...!!!

No comments:

Post a Comment