affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Suno mein laut aya hoon

Thursday 21 March 2013

Suno mein laut aya hoon

Suno mein laut aya hoon
Meri batein
Meray waday
Mein apne saath laya hoon,
Suno meri dharkan mein
Wohi ik saaz bajta hai
Andaz meri baton ka
Tera andaz lagta hai
Khazaan k zard patton ko
Barf se sard mosam ko
Hijar ki garm aahon ko
Tanhai ki bahon ko
Suno
Main chor aya hoon
Abhi jo sakt baaqi hai
Mera jo wqat baaqi hai
Sameto mujh ko bahoon mein
Mujhay chand khushiyan de dalo
Meray sab gham sameto tum
Chand lamhay mujh ko de dalo
Mein sab rishtay
Sabhi natay
Sabhi bandhan
Sabhi dhage
Suno
Mein tor aya hoon
Suno mein laut aya hoon

No comments:

Post a Comment