affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mohabbat ki tabiyyat mein

Saturday, 2 March 2013

Mohabbat ki tabiyyat mein

    Mohabbat ki tabiyyat mein

    Ye kaisa bachpana kudrat ne rakha hai

    Ke ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye

    Ise taeed-e-taaza ki zarorat phir bhi rehti hai

    Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon mein lehlahati ho

    Nigahon se tapakti ho,lahu mein jagmagati ho

    Hazaron tarah ke dilkash, haseen haale banati ho

    Ise izhaar ke lafzon ki hajat phir bhi rehti hai

    Mohabbat maangti hai yun gawahi apne hone ki

    Ke jaise,tafl sada shaam ko ik beej boye

    Aur shab mein baarha uthe

    Zameen ko khod kar dekhe ke poda ab kahan tak hai

    Mohabbat ki tabiyyat mein ajab takrar ki khu hai

    Ke ye iqrar ke lafzon ko sun’ne se nahi thakti

    Bicharne ki ghari ho ya koi milne ki sa’at ho

    Ise bus aik hi dhun hai

    Kaho, mujhse mohabbat hai

    Tumhein, mujh se mohabbat hai

    Kaho, mujhse mohabbat hai

No comments:

Post a Comment