affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mohabbat oas ki soorat,

Friday 1 March 2013

Mohabbat oas ki soorat,

    Mohabbat oas ki soorat,
    piyasi pankhari kay hoNt ko sairab karti hai
    guloN ki AasteenoN mein anhokey rang bharti hai
    sehar kay jhatpatey mein, gungunati,muskurati,jagmagati hai
    mohabbat kay dinoN mein dasht bhi mehsoos hota hai
    kisi firdose ki soorat
    mohabbat oas ki soorat

    mohabbat abr ki soorat,
    diloN ki sir zameeN pay ghir kay ati hai aur barasti hai
    chaman ka zarra zarra jhoomata hai, muskurata hai
    azal ki baynamoN matti mein sabza sir uthata hai
    mohabbat un ko bhi abaad aur shadaab karti hai
    jo dil hain kabr ki soorat
    mohabbat abr ki soorat

    mohabbat Aag ki soorat,
    bhujey seenoN mein jalti hai to dil baidaar hotay hain
    mohabbat ki tapish mein khuch ajab israr hotay hain
    k jitna yeh barhakti hai,uroos-e-jaaN mehakti hai
    diloN k sahiloN par jama hoti aur bihkarti hai
    mohabbat,jhag ki soorat
    mohabbat,aag ki soorat

    mohabbat khwab ki soorat,
    nighaoN mein utarti hai kisi mehtaab ki soorat
    sitaray arzoo k is tarha say jagmagatay hain
    k pehchani nahi jati dil-e-bay taab ki soorat
    mohabbat k shajar par khwab kay panchi utartee hain
    to shakhain jag uthtee hain
    thakay haray sitaray jab zameeN say baat kartey hain
    to kab ki muntazir ankhein
    mohabbat in mein jalti hai chargh-e-aab ki soorat
    mohabbat,khwab ki soorat

    mohabbat derd ki soorat
    ghuzishta mosamoN ka iste-yara ban k rahti hai
    shaban-e-hijr mein,roshan sitara ban k rahti hai
    munderoN pay charaghoN ki lo jab thartharati hain
    nagar meinn na umeedi ki hawa-ain sansanati hain
    gali mein jab koi ahat,koi saya nahi rehta
    dhukey dil kay liay jab koi sahara nahi rehta
    ghamoN k bojh say jab tootnay lagtey hain shanay to
    yeh un pay haath rakhti hai
    kisi hamdarad ki soorat
    guzar jatey hain saray qaflqy jab dil ki basti say
    fizza mein dair tak tairti rehti hai
    yeh gerd ki soorat,
    mohabbat derd ki soorat

No comments:

Post a Comment