affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mohabbat tum nay kab ki hai?

Friday 1 March 2013

Mohabbat tum nay kab ki hai?


Mohabbat tum nay kab ki hai?
mohabbat main nay ki hai
tum nay bus khamshi ki aut main rakh kar
kuch apnay lams kay misray meray dil main utaaray hain
lab-e-num saaz kay num main kai nazmain bhigo kar
meray shaanon par bhikhairi hain
muhabbat tum nay kab ki hai?
mohabbat main nay ki hai
tum nay to apni aankhon door tak israar main doobi hoye
ek shaam jessi sard aankhon main mujhay tehleel karna tha
so main bhi aik baywuqat say lamhay ki tarah ab tak
tumharay paaon ki matti say lipta hoon
na tum nay paaon ki matti ko jhutka hai
na usnay bay wuqat bay maaya lamhay ko
utha kar apni paishaani pay rakha hai
tumhari khamshi ki oak main meray liye kia hai
sub hi kuch hai magar iqraar ki jhilmil nahin hai
samandar mojizan hai or koi saahil nahin hai
mohabbat tum nay kab ki hai?:rose:

No comments:

Post a Comment