affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Tumhen udaas sa paata hoon main kayi din se

Thursday 21 March 2013

Tumhen udaas sa paata hoon main kayi din se

Tumhen udaas sa paata hoon main kayi din se,
Na-jaane kon se sadme utha rahi ho tum,
Wo shokhiyan, wo tabassum, wo qah-qahe na rahe,
Her aik cheez ko hasrat se dekhti ho tum,
Chhupa chhupa k khamoshi main apni be-chaini,
Khud apne raaz ki tashheer ban gayi ho tum,

Meri ummeed ager mit gayi to mitne do,
Ummeed kia hai bas aik paas-o-pesh hai kuch bhi nahi,
Meri hayaat ki ghamgheenion ka gham na karo,
Gham hayaat_e_gham yak-naqsh hai kuch bhi nahi,
Tum apne husn ki ranaaiyon per rahem karo,
Wafa fareb tul hawas hai kuch bhi nahi,

Mujhe tumhare taghaaful se kyon shikayat ho,
Meri fana mere ehsaas ka taqaza hai,
Main jaanta hon k duniya ka khof hai tum ko,
Mujhe khabar hai ye duniya ajeeb duniya hai,
Yahan hayaat k parde main mout chalti hai,
Shikast saaz ki aawaz main roo-naghma hai,

Mujhe tumhari judayi ka koi ranj nahi,
Mere khayal ki duniya main mere paas ho tum,
Ye tum ne theek kaha hai tumhain mila na karon,
Magar mujhe bata do k kyon udaas ho tum,
Khafa na ho meri jurrat_e_takhtab per,
Tumhain khabar hai meri zindagi ki aas ho tum,

Mera to kuch bhi nahi hai main ro k jee lon ga,
Magar Khuda k liye tum aaseer_e_gham na raho,
Howa he kia jo zamane ne tum ko cheen lia,
Yahan per kon hua hai kisi ka socho to,
Mujhe qasam hai meri dukh-bhari jawani ki,
Main khush hon meri mohabbat k phool thukra do,

Main apni rooh ki her aik khushi mita lon ga,
Magar tumhari musarrat mita nahi sakta,
Main khud ko mout k haathon main sonp sakta hon,
Magar ye baar_e_musaiyib utha nahi sakta,
Tumhere gham k siwa aur bhi to gham hain mujhe,
Nijat jin se main aik lahza pa nahi sakta,

Ye oonche oonche makaanon ki deewariyon k talay,
Her kaam pe bhooke bhikariyon ki sada,
Her aik ghar main aflaas aur bhookh ka shor,
Her aik simt ye insaaniyat ki aah-o-buka,
Ye kaar-khanon main lohay ka shor-o-gul jis main,
Hai dafan laakhon ghareebon ki rooh ka naghma,

Ye shaheraahon pe rangeen sadiyon ki jhalak,
Ye jhonprriyon main ghareebon k be-kafan laashen,
Ye maal-road pe kaaron ki rail-pail ka shor,
Ye patriyon pe ghareebon k zard roo bachhe,
Gali gali main bikte hoye jawaan chahre,
Haseen aankhon main afsurdagi si chhai hoi,

Ye jang aur ye mere watan k shokh jawaan,
Khareedi jaati hai uthti jawaaniyan jin ki,
Ye baat baat pe qanoon aur zabte ki giraft,
Ye zeest ki ghulaami ye dour_e_majboori,
Ye gham hai bohat meri zindagi mitane ko,
Udaas reh k mere dil ko aur ranj na do...!!!

No comments:

Post a Comment