affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus by Mohsin Naqvi

Friday 8 February 2013

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus by Mohsin Naqvi

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus !

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus !

Dil ne jhailay hain mohabbat mein wo azaar k bus !

Ek lamhay mein zamanay mere hathon se gaye !


Es qadar taiz hui waqt ki raftaar k bus !

Tu kabhi rakh k humein dekh to bazaar k beech !


Es tarha toot k aaein gay kharidaar k bus !

Kal bhi sadiyon ki musaafat pe kharray they donon !


Darmiyaan aaj bhi parti hai wo deewar k bus !

Ye to ek zid hai k Mohsin main shikayat na karun !


Warna shikway to hain etnay mere yaar k bus !

No comments:

Post a Comment