affiliate marketing Famous Urdu Poetry: "Andhera Sirf Mera Hai" by Mohsin Naqvi

Monday 18 February 2013

"Andhera Sirf Mera Hai" by Mohsin Naqvi


‎"Andhera Sirf Mera Hai"


Main tanhai pehenta hoon..
udaasi kay ujaarr aangan main chunta hoon
kathin mehroomiyon kay zard patton ko
meri aankhon main rat-jagay bharay hain aik muddat se
mere honton pe chispaan hain chatakhti hichkiyan
chehray pe khulti khelti dukhti kharashain hain
main apni zaat main ujrray huay gaaun ka mela hoon

Mere Yaroo..!!

tumharay sath reh kar bhi akela hoon..
meri sangat main mat betho
tumhain to khud sanwarna hai
tumhari khwahishon kay baam-o-dar pay
roshni kay phool khilna hain
tumhain likhna hai apni saans ki garmi se
neendon ka safar-nama..
meri sangat main mat betho..
kay main pathar ka mabhus hoon
kay main mehroomiyon kay sheher ka baasi
meri qismat udaasi
kam libasi
na-shanaasi hai..
meri sangat main mat betho..
mujhe milnay se katraao
khud apnay dil ko samjhaao..
mere nazdeek mat aao
mere dil main andhera hai

Aur

"Andhera Sirf Mera Hai"

No comments:

Post a Comment