affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot

Monday 18 February 2013

Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot


Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot
Dill na manay tu vasl-e-yaar bhi jhoot

Jhoot hay sab khizaan ka khamyaza
Aks-e-rang-e-rukh-e-bahar bhi jhoot

Maut, teri talab bhi laghzash-e-lab
Zindgy , tera aitibaar bhi jhoooot

Wos’at-e-daastaan-e-shauq , ghalat
Koshash-e-harf-e-ikhtsar bhi jhoot

Khalqat-e-shehr maslihat peshaaa
Warna farman-e-shehr-e-yaar bhi jhoot

Na rasae ko rastay mushkil !
Koor chashmi ko kohsaar bhi jhoot

Door say piyar ko sarab, chanab…
Ahl-e-sehra ko aabshaar bhi jhoot

Dastras ka tlism hay warna
Sa’at-e-jabr-o-ikhtiyar bhi jhoot…

Perahan khon-e-dill mein tar kar lo
Warna daman-e-taar taar bhi jhoot

Sirf uss ka safar hay sach MOHSIN
Meri raah bhi mera ghubar bhi jhooot

No comments:

Post a Comment