affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Chalo choro mohabbat jhoot hai by Mohsin Naqvi

Friday 8 February 2013

Chalo choro mohabbat jhoot hai by Mohsin Naqvi


                                       Chalo Choro!

Muhabbat Jhoot Hai

Aihd-e-Wafa Ik Shugal hai Bey'kar Logoun Ka
"Talaab" Sukhey Huey patoun ka Bey Ronaq Jazeera Hai,
"khalish" Deemak Zada Uraaq Per Boseeda Satroun ka Zakhera Hai,
"khumar-e-Wasal" Tapti Dhoop key Senay Pey Urtey Badaloun ki Raegan Bak'shish!
"Ghubar-e-Hijrr" Sehra Mey Saraboun Sey Attey mosaam ka khamyaza!

Chalo Choroo!

key Abb Tak Mey Andheroun ki Dhamak Mey Sanss ki Zarboon Pey
Chahat ki Bina Rakh ker Safar kerta Raha Hon Ga,
Mujhey Ahsaas Hi kab Thaa
key Tum Bhi Mosamoun key Sath Apnay Pearhan key 
Rang Badlo Ge!

Chalo Choro!
Woh Saray Khowab Kachi Bhur Bhuri Matti Kay Bay Qemat Ghronday They 
Woh Saray Zaiqay Meri Zuban Par Zakham Ban Kar Jam Gaey Hoon Gey
Tumhari Unglyon Ki Naram Poren Pathron Par Naam Likhti Theen Mera' Lekan
Tumhari Ungliyan To Aadtan Yeh Jurm Karti Theen ...!

Chalo Choro!

Safar Main Ajnabi Logon Say Aesay Hadsay Sirzird Howa kartay Hain 
.. Sadyon Say

Chalo Choro!

Mera Hona Na Hona Ik Barabar Hai
Tum Apnay khado'khal ko Ainey Mey Phir Nikharney Do'
Tum Apni Ankh ki Basti Mey Phir Sey Ik Naya Mosaam Utarney Do!

"Meray khuwaboun ko Marney Do"
Naee Tasveer Dekhoo
Phir Naya Maktoob Likhoo
Phir Naye Mosaam' Naye Lafzoun Sey Apna Silsila Joroo'
Meray mazi ki Chahat Raigaan Samjhoo

Meri Yadoun Sey Kachey Rabtey Toro!

Chalo choro!

Mohabbat Jhoot Hai'

Aihd-e-Wafa Ik Shugal Hai Bey'kar Logoun Ka

1 comment: