affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Zindagi se darte ho

Friday 8 February 2013

Zindagi se darte ho


Zindagi se darte ho??? 

Zindagi se darte ho 
Zindagi to tum bhi ho
Zindagi to hum bhi hain
Aadmi se darte ho 
Aadmi to tum bhi ho
Aadmi to hum bhi hain
Tum abhi se darte ho

Aadmi zabaan bhi hai
Aadmi bayaan bhi hai 

Harf aur maani ke rishta haaye aahan se
Aadmi hai waabasta
Aadmi ke daaman se zindagi hai waabasta
Us se tum nahi darte ho 

Ankahi se darte ho
Jo abhi nahi aayi 
Us gharri ki aamad ki 
Aagahi se darte ho
Tum abhi se darte ho

Pehle bhi to guzre hain 
Daur na rassai ke 

Be-riya khudaai ke
Phir bhi yeh samajhte ho
Hech aarzumandi
Yeh shab e zubaan bandi 
Hai rah e khudaawandi
Tum yehi samajhte ho 

Tum mager yeh kya jaano
Lab agar nahi hilte
Haath jaag uthte hain
Haath bol uthte hain 
Subh ki azaan ban kar

Roshni se darte ho
Roshni to tum bhi ho 
Roshni to hum bhi hain
Tum abhi se darte ho

Raah- e- shauq mein jaise 
rahru ka khoon lapke
Ek nayaa junoon lapke
Aadmi chhalak uthe
Aadmi hanse dekho 
shaher phir base dekho
Tum abhi se darte ho

No comments:

Post a Comment