affiliate marketing Famous Urdu Poetry: humara kya hai ke hum to chiragh-e-shab ki tarah

Tuesday 19 February 2013

humara kya hai ke hum to chiragh-e-shab ki tarah

humara kya hai ke hum to chiragh-e-shab ki tarah
agar jale bhi to bas itni roshni hogi
ke jaise tund andheron ki raah mein jugnu
zara si der ko chamke, chamak ke kho jaaye
phir is ke baad kisi ko na kuch sujhaayi de
na shab katay na suragh-e-sahar dikhayi de
humara kya hai ke hum to pas-e-ghubaar-e-safar
agar chale bhi to bas itni raah taye hogi
ke tez hawaaon ki zard maa_ill naqsh-e-qadam
zara si der ko ubhre ubhr ke mit jaaye
phir us ke baad na raasta na rah_guzar milay
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar milay
humari simt na dekho ke koi der mein hum
qabila-e-dil-o-jaan judaa honay walay hain
basay basaaye huye shahar apni aankhon ke
misal-e-khana-e-weeraan ujarhnay walay hain
hawa ka shor ye he hai to dekhtay rahna
humari umar ke khemein ukharnay walay hain...

No comments:

Post a Comment