affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochenge

Friday 8 February 2013

Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochenge





Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochenge

Tujh mein kya kya dekha hai, waqt mila to sochenge

Sara sheher shanasai ka , dawedar to hai lekin

Kon hamara apna hai , waqt mila to sochenge

Hum ne usko likha tha , kuch milne ki tadbeer karo

Us ne likh ker bheja hai , waqt mila to sochenge

Mosam khushbu baad-e-saba chand shafaq aur taron mein

Kon Tumhare jaisa hai ,waqt mila to sochenge

Ya to apne dil ki mano , ya phir duniya walon ki

Mashwara uska acha hai ,waqt mila to sochenge

9 comments: