affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai

Friday 8 February 2013

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai


Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai

Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai,

Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi,


Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai,

Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein,


Meri khamoshi bhi pehlu meray baaan ka hai,

Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani,


Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai,

Bichar ke us say main sirf is ly nhi bikharta,


Wo keh gaya tha yehi waqt Imtehaan ka hai...

No comments:

Post a Comment