affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Tum ney tootay huay patton ko kabhi dekha hai!

Saturday 9 February 2013

Tum ney tootay huay patton ko kabhi dekha hai!

Tum ney tootay huay patton ko kabhi dekha hai!

Darakht ke haath say giray huay sookhay pattay!

Khaak-aalooda, sitam-raseeda, faryaad-kanaan

Hawa ke rahm-o-karm par ke ab lay jaaey jahaan

Jin ki zaat mein pasti hai, qismat mein fanaa

Bain kartey huay, tarraptey huay, sehmay huay

Kisi raah-geer kay qadmon ki dhamak suntay huay

Jin ki aankhon mein be’kasi ke siwa kuch bhi nahi

Jin ke bas mein be’basi ke siwa kuch bhi nahi

Shoq-e-tamaasha hai to kisi roz mujhay milnay aao

Tum nay tootay huay patton ko nahi dekha agar!!!

Tum nay thehrey huay pani ko kabhi dekha hai!

Kisi sookhti hui jheel mein be’jaan sa thehra paani!

Jis ke qatron mein haraarat ki koi ramaq bhi nahi

Jis ki lehron mein zindagi ki koi chamak bhi nahi

Jheel ki goad mein simat’ta hua gadla paani,

Wohi chamakta hua, shafaaf sa pyara paani

Jo kabhi mashkeeza-e-abr kay labon say chalka tha

Aaj haqaarat say taktey hain usey guzarney waaley

Shoq-e-tamaasha hai to kisi roz mujhay milnay aao

Tum nay tootay huay patton ko nahi dekha agar!!!

Tum nay uljhay huay dhaagon ko kabhi dekha hai!

Apnay hi aap mein uljhey huay kacchey dhaagay!

Jo apnay aap mein hi reh gaey hon gunjal ban kar

Apnay wajood ki gehraaiyon mein ik uljhan ban kar

Tarha tarha say uljhay, jagaa jagaa say kharaab

Jo agar chaahein bhi ke sanwaar lein muqaddar apna

To apni hi zaat ka sira dhoondh dhoondh ke thak jaaein

Wohi rangeen say dhaagay jo kabhi thay misl-e-dhanak

Aaj apney aap mein yun uljhey hain ke sulajhtay hi nahi

Shoq-e-tamaasha hai to kisi roz mujhay milnay aao

Tum nay tootay huay patton ko nahi dekha agar!!!

No comments:

Post a Comment