affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Udaas shamon mein woh laut aana bhol jata hy,

Saturday 9 February 2013

Udaas shamon mein woh laut aana bhol jata hy,

Udaas shamon mein woh laut aana bhol jata hy,
Kar k khafa mujhko manana bhol jata hy,

Inhi khaslaton ne uski mujhe badnam kar dala,
Wo likh k naam dewaron pe mitana bhol jata hy, 

Mat poch muhabat mein la parwahi uski,
Dy k zakhm wo marham lagana bhol jata hy,

Kitna dilnashin hota hy uski yaad ka manzar,
Wo jab bhi yaad aata tha zamana bhol jata hy

No comments:

Post a Comment