affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Chund lamhon k baad

Sunday 10 March 2013

Chund lamhon k baad

Sahil ki gili rait par
Maine pocha suno
Baad marnay k kya hoga
Socha wo kahay ga
Ashkon ka shab-o-rooz chiraghan hoga
Laikin hans kar usne meri janib dekha
Aur...
Bhaari pathar utha k seena-e-samandar par phainka
Lehron ka talatum utha
Dairay phail gaye
Chund lamhon k baad
Gharq-e-aab ho k kahin khoo gaye
Phir sukoon-e-samandar ko daikh kar
Wo dhire se hans diya
Phir...
Mairay dukh ka ehsaas satteh samandar par
Door tak phailta chala gaya.!!

No comments:

Post a Comment