affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Yeh kia k sab say bayan dil ki halatain karni

Wednesday 13 March 2013

Yeh kia k sab say bayan dil ki halatain karni


Yeh kia k sab say bayan dil ki halatain karni
faraz tujh ko na ayee mohabbat karni

yeh qurb kia k tu samnay hai aur hamain
shumar abhi say judai ki saatain karni

koi khuda ho k pathar jisay bhi hum chahain
tamam umar usi ki ibadatain karni.

sab apnay apnay tariqay say muntazir us k
kisi ko shukar kisi ko shikayatain karni

hum apnay dil say hain majboor aur logon ko
zara si baat pe barpa qayamatain karni

milain jab un say tu mubhim si guftugoo karna
phir apnay aap say so so wazahatain karni

yeh log kaisay magar dushmani nibahtay hain
hamain tu raas na ayee muhabbatain karni

kabhi faraz naayee mosamoon main ro daina
kabhi talash purani rafaqatain karni

yeh ki k sab say bayan dil ki halatain karni
faraz tujh ko na ayee muhabbatain karni

No comments:

Post a Comment