affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Tu har ek baat pe hans deti hai

Monday 8 April 2013

Tu har ek baat pe hans deti hai

Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai

Aur Mai Soch Mai Par Jata Hun

Yeh Teri Saada-O-Masoom Hansi

Aankh Ki Bhool, Sama’at Ka Fasoon

Teri Aadat, Tera Andaaz Na Ho

Be-Takalluf Tere Honton Ki Chatak

Meri Khush-Fehmi Ka Ejaaz Na Ho

Mai Saraabon Ko Bhi Dariya Samjhun

Tu Faqat Shauq Ki Parvaaz Na Ho

Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai

Aur Mai Soch Mai Par Jata Hun

Yeh Teri Saada-O-Be-Baak Hansi

Mai Jisey Khuwab Se Taabeer Karun

Wo Haqeeqat Mai Koi Raaz Na Ho

Tere Be-Saakhta Hansne Ki Adaa

Teri Tanhaai Ki Awaaz Na Ho

Mai Jisey Husn-E-Tabiyat Jaanun

Tere Jazbaat Ki Gham’maz Na Ho

Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai

Aur Mai Soch Mai Par Jata Hun

Yeh Teri Saada-O-Pur’kaar Hansi

Meri Duniya, Meri Hasti Ka Sukoon

Kisi Toofan Ka Aghaaz Na Ho

Mai Mohabbat Ki Talab Ka Maara

Tu Faqat Husn-E-Nazar’baaz Na Ho

Yeh Na Ho Mai To Soamber Jeetun

Aur Tere Qasr Ka Darbaar Na Ho

(Ahmed Faraz)

No comments:

Post a Comment