affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Aik larka pagal pagal sa

Thursday 14 March 2013

Aik larka pagal pagal sa

Aik larka pagal pagal sa
or thora sa dewana bhi

Kuch logon say woh door bhi tha
or thora sa majboor bhi tha

woh jazbon ka shehzor bhi tha
per dil uska kamzor bhi tha

or dil bhi jaisay sheesha ho
bus sheesha chakna choor hoa

woh larka bohot ranjoor hoa
woh gham say thak kar choor hoa

phir woh bohat hi toot gaya
woh apnay aap say rooth gaya

ab woh chup chup rehta hay
kuch sunta hay na kehta hay

bus kamray mein band rehta hay
or nazmain likhta rehta hay

liye aas kay jugnoo daman mein
woh dekhay taaray aangan mein


ab ro ro duayen karta hay
har roz yeh Rab say kehta hay


bus lambi hoi tamheed bohat
hay usko rab say umeed bohat

ke jald gham uskay dhull jaayn gay
yeh din buray bhi tall Jayen gay....

No comments:

Post a Comment