Ajab Sanjog Hai Jana
Ajab Sanjog Hai Jana
Yeh Kaisa Roz Hai Jana
Bary Boorhay Bataty Thay
Kai Qissay Sunaty Thay
Magar Hum Manty Kab Thay
Yeh Sab Kuch Janty Kab Thay
K
Bohat Pukhta Iraday
Kis Tarah Se Toot Jaty Hain
Hamain Idraak Hi Kab Tha
Hamain Kamil Bharosa Tha
Hamary Sath Kisi Surat
Bhi Aisa Ho Nai Sakta
Yeh Dil Kabi Qaboo Se
Bahar Ho Nai Sakta
Magar Phir Yun Howa Janaa
Najanay Kyun Howa Janaa
Jigar Ka Khoon Howa Aisa
Tery Abroo Ki Ek Jumbish Pe
Tery Qadmon Ki Aahat Per
Gulabi Muskrahat Per
Tery Sir K Isharay Per
Sada e Dilbarana Per
Chehra e Masoomana Per
Nigaah e Qatilana Per
Jafa e Mehrmana Per
Ada e Kafirana Per
Ghayal Ho Gaye Hum Bhi
Bary Be-baak Phirty Thay
Maa'il Ho Gaye Hum Bhi
Sakhawat Krnay Aye Thay Aur
Saa'il Ho Gaye Hum Bhi
Baray Boorohon Ki In Baaton K
Qaa'iyal Ho Gaye Hum Bhi
K
Mohabbat Rog Hai Janaa
Ajab Sanjog Hai Janaa.........
No comments:
Post a Comment