affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Buhat din ho gaey shayad kinara kar liya us ne

Friday 22 March 2013

Buhat din ho gaey shayad kinara kar liya us ne

Buhat din ho gaey shayad kinara kar liya us ne,
Hamare bad bhi akhir gozara kar liya us ne,
 
Hamara zikir to us ke labon pe aa nahin sakta,
Hamein ehsas hai hum se kinara kar liya us ne,
 
Wo basti ghair ki basti wo kocha ghair ka kocha,
Suna hai ISHQ bhi ab to dobara kar liya us ne,
 
Suna hai ghair ki bahon ko wo apna samjhti hai,
Ye lagta hai mere dukh ko gawara kar liya us ne,
 
Bhula kar PYAR ki qasmein wo waaday to kar
Kisi ko zindagi se bhi PYARA kar liya us ne...

No comments:

Post a Comment