affiliate marketing Famous Urdu Poetry: DuuR ik jazeeray par ik udaas Larki hay

Sunday, 10 March 2013

DuuR ik jazeeray par ik udaas Larki hay

    DuuR ik jazeeray par ik udaas Larki hay
    AankhaiN Uss ki bojhal sii
    Un meiN khawaab An-dekhay
    khawaab dekh bhii lay gar, ta?beer say wuh darti hay
    duuR ik jazeeray par ik udaas Larki hay
    Ruuh Uss kii rotii hay
    man kaa meet paanay ko
    hont Uss kay be- kal haiN
    Dil kii baat Sunanay ko
    Roz sochtii hay wuh
    Chohr duuN jazeera hay
    haath thamuN dilbar kaa
    aur ja basuuN Uss Aangan meiN
    jis meiN saath Suraj kay khushiaaN bhi utarti haiN
    duuR ik jazeeray par ik udaas Larki hay
    par, apnaa yeh jazeera wuh
    chohr bhii nahiN saktii
    ghum kay iss jazeeray nay
    Uss kay phailay daaman meiN
    jitnay dukh bhii daalay haiN
    jitnay ghum bhii bakhshay haiN
    Saaray duusroN kay haiN
    Uss kii kaalii qismat meiN
    phaelii hax jo tareekii
    chahyaa hay jo san'nataa
    saraa duusroN ka hay
    Uss nay apnay rishtoN say paii haiN jo zanjeeraiN
    Uss kay paoN kay neechay, jo Aseer khanaa hay
    Uss aseer khanay ko, chohrna bhi chahay tou,
    chohrnay say dartii hay
    apnay rishtoN kay bandhan, torna bhii chahay tou,
    tornay say darti hay
    ghum kay qaid khanay meiN
    jaanay kab say tanha hay
    jaanay kab say wuh apnii khushiyoN ko tarastii hay
    duuR ik jazeeray par ik udaas Larki hay
    ik Udaas Larkii hay..!

No comments:

Post a Comment