affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Han Ye Wohi Hai

Tuesday, 5 March 2013

Han Ye Wohi Hai

 Han Ye Wohi Hai
‎(My Own Creation)

Din Charhta hai,

Sans bhi usi tarah chalti hai,

Rangeeniyan bhi usi tarah hen,

Shab o Roz men Logon ka Hajoom sa bhi hai,

Kay meray Ird Gird Muskratay Chehray bhi hen,
Magar Najanay Kiun?

Mujhay,

Na Din Say,

Na Rangeeniyo Say

Na Din Say,

Na Shab o Roz say,

Na Logon Kay Hajoom Say,

Aur na hi,

Muskratay Chehron Say,

Shaghf Hy

Mujhay To Us Tanhai say,

Us Raat Say,

Un Fursat kay Lamhaa't say

Mohabbat hai Janaa'n

Kay Jis Tanhai men,

Kay Jis Raat men,

Jin Fursat kay Lamhaa't men,

Meri Sochon Kay Mehwar,

Tumhari Shabeeh bana kar,

Mujhay Sargoshi kartay hain,

Han ye wohi hy,

Kay Jisko tum din men,

Apni Sanson men,

Rangeeniyon men

Shab o Roz men,

Logon Kay Hajoom men,

Tanhai men Talashtay Ho......

Han Ye wohi hai.......

No comments:

Post a Comment