affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mohabbat Raaz Thi Mujhpar

Wednesday 6 March 2013

Mohabbat Raaz Thi Mujhpar

Mohabbat Raaz Thi Mujhpar,
Hui Mujh Par Ayaan Aise,
Teri Baatein,
Tera Chehra,
To Shayad Ek Bahana Tha,
Ye Tha Ek Raaz-E-Fitrat,
Ya Thi Koi Aazmayish Ye,
Ke Khaliq Ko Mere
Bande Ko Apne Azmana Tha,
Nafi Thi Zaat Ki Meri,
Ana Ka Katal Tha Meri,
Thi Ye Ek Shart Ke
Mehboob Ki Hai Bandagi Karni,
Main Rota Tha, Sisakta Tha,
Magar Mehboob Tha Ke,
Sang-E-Marmar Ka Butt Ho Jaise,
Sadayein Be-Asar Thi,
The Sajde Be-Maani,
Phir Ek Din Yun Hua,
Ke Jo Utha Sajde Se Sar Mera,
To Paaya Samne Khud Ko,
Main Karta Tha Ibaadat,
Khud Hi Apni Zaat Se Shayad,
Mohabbat Yun Mukammil Ho Gayi Thi...

No comments:

Post a Comment