affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Wo Aankhein Kaisi Aankhein Hai

Wednesday 6 March 2013

Wo Aankhein Kaisi Aankhein Hai

Wo Aankhein Kaisi Aankhein Hai,
Jinhe Ab Tum Chaha Karte Ho,
Tum Kehte The,
Meri Aankhein Itni Achhi Itni Sachi Hai,
Is Husn Aur Sachayi Ke Siwa, Duniya Mein Koi Chiz Nahi,
Kyon Un Aankhon Ko Dekh Ke Bhi,
Tum Faiz Ka Misra Padhte Ho,
Tum Kehte The
Meri Aankhon Ki Neelahat Itni Gehri Hai,
"Meri Rooh Agar Ek Baar Utar Jaye To Iski Por Por Neelam Ho Jaye"
Mujhe Batao,
Aaj Tumhari Rooh Ke Rang-E-Pehrahan Kya Hai?
Kya Wo Aankhein Bhi Samundar Hai?

Ye Kaali Bhoori Aankhein,
Jinko Dekhke Tum Kehte The,
Inki Chhanv Tumhare Jism Pe Apni Shabnam Phaila De,
To Guzarte Khwaab Ke Mausam Laut Aayein,
Kya Wo Palkien Bhi Aisi Hai?
Jinhe Dekhke Neend Aa Jaati Ho?

Tum Kehte The,
"Meri Aankhein Yun Achhi Hai,
Haan! Kaajal Ki Dhundlayi Koi Tehreer Bhi Ho To,
Baat Bahut Dilkash Hogi"
Wo Aankhein Bhi To Singaar Karti Hogi,
Kya Unka Bhi Kajal Khud Mit Jaata Hai?

Kabhi Ye Bhi Hua?
Kisi Lamhe Tumse Rooth Ke Wo Aankhein Ro Dein,
Aur.......
Tum Ne Apne Haath Se Unke Aansu Khushk Kiye,
Phir Jhuk Kar Unko Choom Liya,
..........Kya Unko Bhi..........???

No comments:

Post a Comment