affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Titliyon kay mausam main nochna gulabon ka

Tuesday, 5 March 2013

Titliyon kay mausam main nochna gulabon ka

Titliyon kay mausam main nochna gulabon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai
Daikh ker parindon ko bandhna nishanon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Tum abhi naye ho naa is liye pareshan ho
Aasman ki janib tum is tarha say mut dekho
Aafatain jab aani hoon, tootna sitaron ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Shehr kay baashinday bo kay beej nafrat kay
Intezar kertay hain fasl ho mohabbat ki
Chor ker haqeeqat ko, Dhondna sarabon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Ajnabi fizaon main ajnabi musafir say
Apnay her ta'aluq ko dai'mii samajh lena
Aur jab bichar jana mangna duaon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

Khamoshi mera shewa! guftugoo hunar un ka
Meri be-gunahi ko log kesay manain gay
Baat baat per jab keh mangna jawabon ka
Reet is nagar ki hai aur janay kab say hai

1 comment: